ऊटी के प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल । places to visit in ooty in Hindi

 "ऊटी के  प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल"

         
                     " Best Places to Visit in Ooty in Hindi  "

       

Aaj me batane ja raha hu dakshin Bharat ke ek famous hill station "ooty" ऊटी दर्शनीय स्थल ke bare me Hindi me.

Ooty south India ke tamilnadu state ka ek chota sa khubsurat hill station he. Ooty ko  utakmand ya  udagmandalam bhi kahten  he. Yah hill station samudra tal se 2267 meter yani ki lagbhag 7000 feet ki unchai par sthit he.

Ooty famous he apne Nile pahado ki chotiyon ke liye,
Chai ke hare bhare dur Tak faile bagano ke liye,
Apni handmade local chocolate ke liye,
Sugandhit oil ke liye, aur masalo ke liye,
Apni nadiyon ,zarno aur zhilon ke liye,
Apni hare bhare pedon aur janglon ke liye,
Vany jivon aur khubsurat pakshiyon ke liye,

Ooty prasidh he apni toy train ke liye Jo
mittupayam se ooty Tak chalti he Jo aapko janglon ,pahadiyo aur vadiyon ki sair karati Hui batati he ki ye he real Ooty jise dekhne har saal 10 lakh see bhi jyada traveller aaten he.
Ooty prakrati premiyon ke liye swarg se kam nhi, yah hill station Bharat ke top 10 hill station me Gina jata he.

Ooty ka mosam sal bhar suhana rahta he ,      ooty  ka tempratute 10 se 25 digree ke bich rahta he , par winter season me yanha ka temprature 0 digree Tak pahuch jata he. Isliye ootyjane see pale apne santh garam Kapde Lena na bhulen.

ऊटी के प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल- Places to Visit in Ooty 

1. Ooty zhil (Ooty lake) - yah zhil Ooty ka mukhy akarshan ka Kendra he. Yah zhil unche unche hare bhare pedon ke bich sthit he is zhil ka pani bilkul  saf he ,yah zhil lagbhag 3 km lambi he. Yanha par aap boting aur fishing ka aanad utha sakten he, Jo naye couple ke liye bahut hi romantic  anubhav he, zhil ke kinaron par hare medan me aap horse riding ka Maza le sakten he. 

2. Botnical Garden - botnical Garden lagbhag 22 hectare me faila hua, yahan lagbhag 600 prajati ke phul aur ped podhe he Jo dekhne me bahut hi Sundar  aur manmoh lene wale lagten he,yah garden vanspati premiyon ke liye kisi swarg se kam nhi ,yanha is garden me 2 carod
Varsh purane vraksh (tree) ke avshesh sahej Kar rakhen he Jo dekhne layak he. "May" ke mahine me yanhan summer freshtival ka ayojan Kiya jata he.

3. Kalhatti waterfall- yah Waterfall Ooty ki top 5 place me se ek he , yah waterfall laghbhah 100 feet uncha he ,itni  uchai se is vihangam zarne ka pani girte huye dekhna hamare man aur aatma dono ko tript Kar deta he. Yah waterfall Ooty  se lagbhag 12 km dur sthit he ,janhan aasani se panhucha ja sakta he.

4. Dodabetta hill -  yah Ooty ki sabse unchi choti he jiski unchai lagbhag 2636 meter he.
Yanha se aap pure Ooty ki Sundar vadiyon aur ghatiyon ka vihangam drasya dekh sakte ho Jo ki bahut hi adbhud aur manmohak he. Dodabetta choti ooty se lagbhag 9 se 10 km Dur he .

5. Kota giri -  yah jagah Ooty se lagbhag 30 km duri  par sthit he, yah bhi nilgiri ka ek khubsurat hill station he. Yanhan ka mausam behad suhana he , yanha ka shant watavarn aur dur dur Tak faile  hare bhare  chai ke Bagan vastav me dekhne layak he.

ऊटी  कब जाएं- Best time to visit Ooty- vese to aap salbhar me kabhi bhi Ooty ja sakten he, kyonki har mosam me Ooty ka alag hi nazara dekhne ko milta he par fir bhi "March se le Kar june Tak" Ooty Jane ka best samay he ,kyonki is samay yanhan ka mausam saaf aur bahut hi suhavna hota he.

   ऊटी कैसे पहुंचे- How to reach Ooty - 

By air - koyambtur   Ooty ka sabse najdiki  airport he. Yanha se Ooty hill station lagbhag 66 km dur he.

By train- udagmandalam Ooty ka main railway station he , aur koyambtur main 
Railway junction. Ooty pahuchne ke liye 
Sabse Best mittupayam se toy train ki yatra he , Jo aap jivan bhar nhi bhulenge he. Mittupayam Ooty se lagbhag 45 km dur he jisse ooty pahuchane me 5 ghante lagten he.

By Road- ooty lagbhag sabhi aaspas ke  main shaharon se sadak Marg se connected he.

                                   
Best hotels in ooty-

1. Gem park Ooty

2. Fortune Resort Sullivan court

3. Ponmari Residency

4. Treebo yantra Leisures

5. Treebo Rosefield Heritage

Friends agar apko Mera post "Best Places to Visit in Ooty in Hindi      ऊटी के प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल " a accha  laga ho to please comment jarur Karen, aur ho sake to Facebook par  apne friends ke santh share karen.

Thanks for Reading 

टिप्पणियाँ