लेह लद्दाख के प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल । Places to visit in leh laddakh in Hindi

               
                  लेह लद्दाख के   प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल
 Places to Visit in Leh Ladakh in Hindi

Leh Ladhakh Tourism Places to Visit Hindi-
Hi friends kaise he aap  , aaj me aapko  batane ja raha hun leh ladhakh ke Best places ke bare me vo  bhi Hindi me.

Agar is sal ki garmiyo me aap kisi nayi aur thandi Aramdayak jagah Jane ka soch rahe he to aap uttar Bharat ke jammu Kashmir
Me sthit leh ladhakh ki taraf rukh Kar sakten he,
 ye jagah aap ko nirash nhi karegi ,leh ladhakh aapko itna romanchit aur vismit karten he ki aap yanhan ke nazare dekh Kar dang rah jayenge .


Ek taraf bhure pahad Jo India me sayad aapko leh ladhakh me hi dekhne ko milenge kisi chumbak ki tarah aap aa dhyan khichte he ,
aur dusri aur gahra nila aakash Jo ashim Shanti aur sukun ka ahsas karata he .
Aur sabse khas sabse khubsurat pegong lake jiska pani thodi thodi dur par apna rang badalta he , is namkin pani ki zhil me
Ham kinare se 5 se 10 feet gahrai me pade
 chamkile pathar dekh sakten he .

Leh ladhakh me apko bodh dharm ka jyada prabhav dekhne ko milta he jagah jagah Kai bodh math he,Jo ek bar to dekhne layak he.
Bhagvan ne bhi Kya khub kRigari karke tarasha he leh ladhakh ki khubsurat ko.


लेह लद्दाख के प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल-  Places to Visit in Leh Ladakh

1. Pegong lake 

2. Nubra valley

3. Shanti stup 

4. Thiksey monastery

5. Tso moriri 

6. Kargil war memorial

7 . Khardungla top 

8. Diskit monastery

9. Drang Drung Glacier 

10. Lamayuru monastery 

 लेह लद्दाख कब जाएं Best time to visit leh ladhakh- may se lekar September Tak leh ladhakh jane ka sabse behtarin samay he kyonki September end se march Tak yanha barf Jami rahti he aur
Yanha pahuchne ke raste band rahten he.

लेह लद्दाख कैसे पहुंचे How to reach leh ladhakh- ye shandar  jagah Hawaii aur sadak  Marg se Baki ke Bharat se acchi tarah se Judi Hui he .

By air- leh me airport he janha dehli see matra 1 ghante 15 minute me pahucha ja sakta he .


By road- sadak Marg se let ladhakh pahunchne ke do Marg he ek shrinagar se ho Kar gujarta he aur ek Rasta manali hote huye jata he, dono hi rasterbehtarin he par Manali Wala Rasta mindblowing he adhbud he .
me apni best advice dunga ki aap Manali wale road se hi  janye aur manmohak pahadon aur vadiyon ke nazaron ka Anand uthYen .
Dehli se Manali hote huye leh ladhakh pahunchne me Bus se  32 ghante lagten he par safar mazedar hota he aur bus ka kiraya bhi matra 1100 rupye he .

Friends AP ko Mera blog  Places to Visit in Leh Ladakh in Hindi  "लेह लद्दाख  के प्रमुख दर्शनीय पर्यटन स्थल"  pad Kar kaisa laga comment karke muze jarur batayen muze accha lagega .
To friends fir milten he agle blog me ek nayi romachak jagah ki khas jankari  le Kar..

agar aapne mere blog ko subscribe nhi Kiya he to Kar len jisse aap meri nayi post bhi pad payenge .

Thanks good bye



टिप्पणियाँ